har ek nazar men mo’atabar hai
vo shaḳhs jo aaj bhi idhar hai
ham se hi jahan men raunaqen hain
hai kaun yahan jo be-hunar hai
chaha tha bahut nibah ham ne
is baat ki kya use ḳhabar hai
kya makr-o-fareb se Daren ham
haq baat hamari ham-safar hai
har raah pe rahzan hain ‘manzar’
ab kaun yahan pe rahbar hai
Leave a Reply