imtiyaz-e-husn-o-ulfat ashkara ho gaya
tum na mere ho sake aur main tumhara ho gaya
jaane kya dil ko mohabbat men sahara ho gaya
ya ḳhushi bhi baar thi ya gham gavara ho gaya
main kahan aur jur.at-e-arz-e-niyaz-e-dil kahan
haan magar tera hi dar-parda ishara ho gaya
kya mohabbat dar-haqiqat hai mohabbat ka javab
tum bhi ho jaoge us ke jo tumhara ho gaya
qalb-e-jur.at-azma kuchh fitratan bebak hai
aur agar aise men tera bhi ishara ho gaya
shiddat-e-gham aur phir takid-e-zabt-e-ah bhi
lekin ik majbur-e-ulfat ko gavara ho gaya
ab to har ik baat par ankhon men bhar aate hain ashk
chaar din men haal kya ‘naḳhshab’ tumhara ho gaya
Leave a Reply