• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHushi Daman-Kashan Hai Dil Asir-E-Gham Hai Barson Se

KHushi Daman-Kashan Hai Dil Asir-E-Gham Hai Barson Se

ḳhushi daman-kashan hai dil asir-e-gham hai barson se

hamari zindagi ka ek hi aalam hai barson se

sitam hai ansuon ka ponchhne vaala nahin koi

hamari aankh bhi tar astin bhi nam hai barson se

vazahat chahta huun tujh se tere is ishare ki

jo paiham meri janib hai magar mub.ham hai barson se

rahe ham saath bhi barson tire kahla.e bhi lekin

tujhe apna na paa.e ye ḳhalish ye gham hai barson se

kisi se mudda.a-e-dil kaha ho to zaban kaT jaa.e

bas ik tu hai jo dil ke raaz ka mahram hai barson se

hamari zindagi kahne ki had tak zindagi hai bas

ye shiraza bhi dekha jaa.e to barham hai barson se

ḳhushi hai ai ‘vaqar’ ab aur na arman-e-ḳhushi baaqi

agar kuchh hai to bas asudgi-e-gham hai barson se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Diye Jo Kar Diye Gul Ahd-E-Shab Mein Rahte Hue

meer-hasan

dil Mera Aaj Mere Pas Nahin

Baad-E-Shimal Chalne Lagi Ang Ang Mein

poet

Gae Sab Bhul Shikwe dekh Ru-E-Yar Kya Kahiye

Kal Chaman Tha Aaj Ek Sahra Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet