raunaq-e-bam-o-dar nahin baaqi
kaise kah duun ki ghar nahin baaqi
us ko dekha hai us ki nazron se
jaise apni nazar nahin baaqi
rahnumaon ne is qadar luuta
ab luteron ka dar nahin baaqi
har musafir se raston ne kaha
zulmaton men sahar nahin baaqi
dil to mahrum-e-sidq lagta hai
aur dua men asar nahin baaqi
main ne akhbar padh liya ‘ashiq’
koi taaza khabar nahin baaqi
Leave a Reply