aḳhir na chali koi bhi tadbir hamari
ban ban ke bigaḌne lagi taqdir hamari
ye ishq ke hathon hui tauqir hamari
bazaron men bikne lagi tasvir hamari
is tarah ke din raat dikhati hai karishme
taqdir pas-e-parda-e-tadbir hamari
jaldi na karo dhaar hai ḳhanjar pe abhi to
ho lene do sabit koi taqsir hamari
kuchh ḳhuun ki chhinTen kahin ashkon ki nami hai
jaati hai ajab shaan se tahrir hamari
har samt dahak uThti hai ik aag jahan men
lo deti hai jab raat ko zanjir hamari
bas Daal lo chehre pe naqab apne ḳhudara
be-rabt hui jaati hai taqrir hamari
ye kahte hi bas mar gaya nakam-e-mohabbat
tum bhi na hamare hue taqdir hamari
‘alim’ falak-e-tafraqa-pardaz ka Dar hai
bante hi bigaḌ jaa.e na taqdir hamari
Leave a Reply