jab khayal aaya mujhe tere rukh-e-pur-nur ka
phir gaya naqsha meri ankhon men chashm-e-tur ka
aable padne lage pa-e-khayal-o-fikr men
hai ye aalam atish-e-gham se dil-e-mahrur ka
ek nazar men jis ne lakhon ko kiya be-hosh-o-mast
dekhne vaala huun main us nargis-e-makhmur ka
juz malal-o-huzn-o-andoh-o-haras-o-dard-o-gham
aur koi ab nahin monis dil-e-ranjur ka
fakhr ye hai main shah-e-‘varis’ ke dar ka huun faqir
martaba ‘aughat’ nahin jo qaisar-o-faghfur ka
Leave a Reply