ulfaton ka khuda nahin huun main
ranj-o-gham se juda nahin huun main
ek arsa hua gae us ko
ab to us ka pata nahin huun main
kalyugi soch se huun pardushit
koi taaza hava nahin huun main
kharchon ke bojh ne kamar todi
shauq se kui jhuka nahin huun main
bevafa ba-vafa nahin hoga
ishq ki kimiya nahin huun main
chand sikke hain logon ki qimat
shukr hai ki bika nahin huun main
dharm aur zaat ki jakad aisi
par to hain par uda nahin huun main
Leave a Reply