pesh-e-nazar hai naza.a men naqsha-nigar ka
jalva ḳhizan dikhati hai mujh ko bahar ka
surme se rutba kam nahin apne ghubar ka
hai sang-e-tur sang hamari mazar ka
hai bad-e-marg shauq hamen did-e-yar ka
chilman ka haal hai kafan-e-tar-tar ka
tiira iqamat apni ho bagh-e-jahan men kya
avaz ar-rahil hai naala hazar ka
hai apne soz-e-dil ka dimagh asman par
partav hai aftab dil-e-dagh-dar ka
ai jan-e-pak kar na tan-o-tosh par ghurur
hai hal-e-jism pairahan-e-musta.ar ka
tayyar ḳhak-e-gor se hote hain jam-e-mai
ba.ad-e-fana bhi ranj hai mujh ko ḳhumar ka
Leave a Reply