khulegi us nazar pe chashm-e-tar ahista ahista
kiya jaata hai paani men safar ahista ahista
koi zanjir phir vapas vahin par le ke aati hai
kathin ho raah to chhutta hai ghar ahista ahista
badal dena hai rasta ya kahin par baith jaana hai
ki thakta ja raha hai ham-safar ahista ahista
khalish ke saath is dil se na meri jaan nikal jaae
khinche tir-e-shanasai magar ahista ahista
hava se sar-kashi men phuul ka apna ziyan dekha
so jhukta ja raha hai ab ye sar ahista ahista
Leave a Reply