tu baton men bigad jaata hai mujh se
parai pach pe lad jaata hai mujh se
ye kya kaj-kaviyan aur tedhiyan hain
ki tap tap ko jhagad jaata hai mujh se
hamesha maash ka aata sa kyuun tu
zari bhar men akad jaata hai mujh se
bura hai ishq ka azar yaaro
ye aksar vaqt ad jaata hai mujh se
tababat men masiha huun va-lekin
maraz ye to chapad jaata hai mujh se
hai jaani tujh men sab khubi pa jaan sa
tu ik dam men bichhad jaata hai mujh se
hai dushman man-chala par ‘azfari’ dekh
nazar padte sankad jaata hai mujh se
Leave a Reply