• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kitne KHayal Raat Ki Palkon Mein Aae The

Kitne KHayal Raat Ki Palkon Mein Aae The

kitne ḳhayal raat ki palkon men aa.e the

kirnon ne sab charagh savere bujha.e the

chalna paḌa hava ko bhi daman sambhal kar

phulon ke saath raah men kanTe bichha.e the

paani bacha ke rakh liya viraniyon ke biich

kis ne hazaron kos se panchhi bula.e the

sarsabz vo hi peḌ hua moḌ ki tarah

jis ne hava men pankh se patte uḌaa.e the

rasm-o-rivaj ki amar belon ne Das liya

ham ne azal se ḳhud hi ye bandhan bana.e the

taare ga.e kahan ye vahin ke vahin rahe

din se chhupa.e jo vahi shab ne dikha.e the

badle libas aadmi har rut ke rang men

patthar ke yug men aaj ke kapḌe sila.e the

bahar faqir ne kahin Dera laga liya

bazar saare shahar ke ham ne saja.e the

alfaz ka hujum tha pahchante kise

kitne hi bin bula.e kitabon men aa.e the

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Har Ek Dil Yahan Hai Mohabbat Se Aari

Har Ek Mahaul Se Beganagi Mahsus Hoti Hai

poet

Kab Tasawwur Yar-E-Gul-Rukhsar Ka Feal-E-Abas

poet

Han jhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin

Phulon Se Hogi Dhul Juda Dekhte Raho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet