girne ki tarah ka na sambhalne ki tarah ka
saara vo safar khvab men chalne ki tarah ka
barish ki bahut tez hava men kahin mujh ko
darpesh tha ik marhala jalne ki tarah ka
ik chand ubharne ki tarah ka mire bahar
suraj mire andar koi dhalne ki tarah ka
aisa hai ki rahta hai sada saath bhi us ke
manzar koi poshak badalne ki tarah ka
udti hui si ret vahi dasht men har-su
paani vahi dariya men uchhalne ki tarah ka
kaisi ye khizan chhai hai mujh men ki sarasar
mausam hai vahi phulne phalne ki tarah ka
kya dil ka bharosa hai ki is aab o hava men
vaise hi ye pauda nahin palne ki tarah ka
malum bhi tha mujh ko magar bhuul chuka huun
rasta koi jangal se nikalne ki tarah ka
main to yahi samjha ‘zafar’ is baar bhi shayad
mujh par ye bura vaqt hai talne ki tarah ka
Leave a Reply