khud-fahmi ka arman hai tariki men ru-posh
tariki khud be-chashm-o-gosh!
ik be-payan ujlat rahon ki alvand!
sinon men dil yuun jaise chashm-e-az-e-sayyad
taaza khuun ke pyase afrangi mardan-e-rad
khud deve-e-ahan ke manind
dariya ke do sahil hain aur donon hi napaid
shar hai dast-e-siyah aur khair ka hamil ru-e-safed
ik bar-e-mizhgan ik lab-e-khand
sab paimane be-sarfa jab sim-o-zar mizan
jab zauq-e-amal ka sar-chashma be-maani hizyan
jab dahshat har lamha jan-kand
ye sab ufuqi insan hain ye un ke samavi shahr
kya phir un ki kamin men vaqt ke tufan ki ik lahr?
kya sab virani ke dil-band
Leave a Reply