abhi hai mausam ghamon ka lekin main muskura.un to harj kya hai
ki nauha-ḳhvani ke daur men ik ghazal suna.un to harj kya hai
dikhana hai aftab ko ye ki kaun hai meri shab ka sathi
main shaam hone se qabl hi ik diya jala.un to harj kya hai
hai diqqaton se bhara safar jab nahin hai koi bhi saath mere
to apne saa.e ko main agar ham-safar bana.un to harj kya hai
lagi hain pabandiyan mulaqat par ye sach hai ka.i dinon se
magar main raton ko tere ḳhvabon men aa.uun ja.un to harj kya hai
zamana pichhle zamane ko yaad kar ke rahta hai khoya khoya
magar main agle dinon ki fikron men Duub ja.un to harj kya hai
farebi hai ye zamana mujh ko hamesha deta raha hai dhoka
agar main ḳhud se hi aaj ‘anjum’ fareb kha.un to harj kya hai
Leave a Reply