ba.ad muddat ke ye hua ma.alum
jo hai ma.alum vo hai na-ma.alum
kis ne kho.e hain hosh kya ma.alum
kaun kafir hai ye ḳhuda ma.alum
ham ko manzil ki hai talash bahut
go nahin us ka rasta ma.alum
dil men ik dard ki kasak si thi
ab hui us ki intiha ma.alum
justaju-e-hazar ke ba-vasf
kuchh hua kuchh nahin hua ma.alum
raz-e-kaunain usi pe faash nahin
jis ne samjha ki ho gaya ma.alum
us ko qudrat ne di giran-goshi
jis ko hai saaz ki sada ma.alum
dard se vasta hai dard se kaam
go hai is dard ki dava ma.alum
‘arsh’ vo mujh ko chhoḌte hi nahin
ab hui jurm ki saza ma.alum
Leave a Reply