• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bana Ke Ek Nai Manzil Guzar Gae Hote

Bana Ke Ek Nai Manzil Guzar Gae Hote

poet

bana ke ik na.i manzil guzar ga.e hote

jidhar koi nahin jaata udhar ga.e hote

pa.e sukun na agar ham Thahar ga.e hote

to aaj ta-had-e-shams-o-qamar ga.e hote

gham-e-hayat se ham bhi jo Dar ga.e hote

to qaid-e-zist men rah ke bhi mar ga.e hote

jo mai-kade men zara tum Thahar ga.e hote

nazar ke zor se paimane bhar ga.e hote

na lafz gul ko samajhte na ḳhaar ke ma.ani

bacha bacha ke jo daman guzar ga.e hote

main bevafa huun to vo kyuun nazar chura ke ga.e

zara mila ke nazar se nazar ga.e hote

nasim-e-sub.h ke jhonke miri taraf kyuun aa.e

jahan bahar hai gul hain udhar ga.e hote

batata kaun nasheb-o-faraz-e-rah-e-hayat

jo sab ki tarah se ham bhi guzar ga.e hote

bahana chahiye gulshan men Darne valon ko

na ḳhaar hote to phulon se Dar ga.e hote

main aur kuchh nahin kahta magar chaman vaalo

bahar aati to gulshan sanvar ga.e hote

jo ittihad ki manzil pe hote ham ‘sharib’

taghayyurat ke chehre utar ga.e hote

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Uftad Tabiat Se Is Haal Ko Hum Pahunche

qateel-shifai

Ehtiram-E-Lab-O-Rukhsar Tak Aa Pahunche Hain

Qarar-E-Gud-Shuda Mere KHuda Kab Aaega

Kya DhunDne Aae Ho Nazar Mein

KHud-Ba-KHud Aankh Badal Kar Ye Sawal Achchha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet