dekhi hai main ne ye bhi nairangi-e-zamana
insaf ki rida men andaz-e-zalimana
kitne hasin din the anjan the jahan se
aata hai yaad ab vo guzra hua zamana
tere hi dam se yarab abad hai ye duniya
hai bas yahi haqiqat baaqi jo hai fasana
koi nahin dikhata ab to hunar-shanasi
uThti hai jo nazar bhi hoti hai naqidana
kitna hasin tera andaz-e-guftugu hai
ji chahta hai likh duun tujh par koi fasana
tum kya ga.e ki duniya maghmum lag rahi hai
ab zindagi ye mujh ko lagti hai qaid-ḳhana
Leave a Reply