kya nazar ki hushyari ḳhud-asir-e-masti hai
jo nigah uThti hai mahv-e-ḳhud-parasti hai
badalon ko takta huun jaane kitni muddat se
ek buund paani ko ye zaban tarasti hai
ik janam ke pyase bhi sair hon to ham janen
yuun to rahmat-e-yazdan char-su barasti hai
raat gham ki aa.i hai hoshiyar dil vaalo
dekhna hai ye nagin aaj kis ko Dasti hai
shayad aaj a.ina dil ka TuuT hi jaa.e
phir nazar ki virani zindagi pe hansti hai
main ne apni palkon par gham-kade saja.e hain
aarzu ke matam men sogvar hasti hai
ab ba-tabish-e-aḳhtar tirgi hai afzun-tar
raushni bhi bik jaa.e ye kamal-e-pasti hai
Leave a Reply