main chup kam raha aur roya ziyada
yaqinan zamin kam hai dariya ziyada
shab-e-vasl murgh-e-sahar yaad rakhna
zaban kaat lunga jo roya ziyada
main nazuk-mizaji se vaqif huun qasid
isi vajh khat men na likkha ziyada
do bose liye us ne do galiyan diin
na lena ziyada na dena ziyada
vo sair-e-chaman ke liye aa raha hai
akadna na shamshad itna ziyada
vo utna hi banta hai hirs-e-mujassam
khuda jis ko deta hai jitna ziyada
amal par mujhe e’timad apne kam hai
khuda ke karam par bharosa ziyada
jo ankhen tire khak-e-dar se hain raushan
milaya hai shayad mamira ziyada
mujhe ulfat-e-zulf jab se hai ‘parvin’
batate hain vo josh-e-sauda ziyada
Leave a Reply