• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Itne Aansu To Na The dida-E-Tar Ke Aage

Itne Aansu To Na The dida-E-Tar Ke Aage

meer-hasan

itne aansu to na the dida-e-tar ke aage

ab to paani hi bhara rahta hai ghar ke aage

dam-ba-dam mujh ko tasavvur hai usi dilbar ka

raat din phirta hai meri vo nazar ke aage

hain ye ai jaan mire dil se mujhe apne aziiz

tere daghon ko main rakhta huun jigar ke aage

garmi apni ko faramosh karen mahr-vishan

sard ho jaaen sab us rashk-e-qamar ke aage

bad-e-tundi se miyan teri mujhe hairat hai

kyunki rakhta hai tapanchon ko kamar ke aage

tere danton se main tashbih na duun gauhar ko

puut ko qadr nahin silk-e-guhar ke aage

zor se kaam nikalta nahin be zar ke diye

zar bhi harba hai tira ek bashar ke aage

zar agar barsar-e-faulad nahin narm shuad

zor ka zor dhara rahta hai zar ke aage

kis ko kahta hai miyan yaan se sarak yaan se sarak

koi baitha nahin aa kar tire dar ke aage

ye to majlis hai jahan baith gae baith gae

kyuun jagah badle koi kaahe ko sarke aage

ab kahan jaae ‘hasan’ hathon se tere zalim

rakh liya tu ne use tegh-o-sipar ke aage

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

qateel-shifai

Uktahat

Uski Chah Mein Ab Ke Ye Bhi Kamal Hua

Yaad Mausam Wo Purane Aae

abid-malik

Kyun Chalti Zamin Ruki Hui Hai

poet

Kai Dilon Mein paDi Is Se Shor-O-Shar Ki Tarah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet