mira divana-pan farzangi se kam nahin hota
ki main rota huun pahron aur daman nam nahin hota
tira gham sahne vaale par zamana muskurata hai
magar har shaḳhs ki qismat men tera gham nahin hota
mah-o-ḳhurshid ki tabindagi kam hoti rahti hai
magar dagh-e-tamanna ka ujala kam nahin hota
abhi ai josh-e-girya tu ne ye socha nahin shayad
mohabbat ka chaman minnat-e-kash-e-shabnam nahin hota
qayamat tak rahe saaqi salamat tera mai-ḳhana
pila.i hai kuchh aisi kaif jis ka kam nahin hota
vaqar-e-ishq par us daur se bhi harf aata hai
‘aziz-varsi’ vo dard jo paiham nahin hota
Leave a Reply