ajiib tarz-e-taḳhatub rava hua ab ke
ḳhulus lahjon se yaksar juda hua ab ke
guzashta rut ki tarah ahd mat bhula dena
pukarta hai ye kamra saja hua ab ke
hamen to yaad bahut aaya mausam-e-gul men
vo surḳh phuul sa chehra khila hua ab ke
Thahar, Thahar ke guzarta hai zard mausam bhi
hamen to jiina bhi jaise saza hua ab ke
na phuul mahke na sabza uga na barf giri
tumhara kahna hi yaaro baja hua ab ke
Leave a Reply