• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aao Kabhu To Pas Hamare Bhi Naz Se

Aao Kabhu To Pas Hamare Bhi Naz Se

meer-taqi-meer

aao kabhu to paas hamare bhi naaz se

karna suluk khuub hai ahl-e-niyaz se

phirte ho kya darakhton ke saae men duur duur

kar lo muvafaqat kisu be-barg-o-saz se

hijran men us ke zindagi karna bhala na tha

kotahi jo na hove ye umr-e-daraz se

manind-e-subha uqde na dil ke kabhu khule

ji apna kyuun ki uchte na roze namaz se

karta hai chhed chhed hamara jigar tamam

vo dekhna tira mizha-e-nim-baz se

dil par ho ikhtiyar to hargiz na kariye ishq

parhez kariye is maraz-e-jan-gudaz se

aage bichha ke nata ko laate the tegh o tasht

karte the yaani khuun to ik imtiyaz se

maane hon kyuun ki girya-e-khunin ke ishq men

hai rabt-e-khas chashm ko ifsha-e-raz se

shayad sharab-khane men shab ko rahe the ‘mir’

khele tha ek mughbacha mohr-e-namaz se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

quli-qutub-shah

Tuman Raushni Bin Haman Raushni Nah

Hamare Nam Se Un Ko Mohabbaten Kaisi

abdul-hamid-adam

Zindagi Ek Fareb-e-Paiham Hai

poet

Ye Rahguzar to Kisi Rahguzar Ka Dhoka Hai

Istada Hai Jab Samne Diwar Kahun Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet