vo vus.aten thiin dil men jo chaha bana liya
sahra bana liya kabhi dariya bana liya
yuun rashk ki nigah se kis kis ko dekhte
har aarzu ko apni tamanna bana liya
kab tak jahan se dard ki daulat sameTte
ḳhud apne dil ko gham ka ḳhazina bana liya
duniya ki kofton ko gavara na kar sake
uqba ko zindagi ka sahara bana liya
thi ka.enat-e-husn ki saada si ik jhalak
ham ne nigah-e-shauq se kya kya bana liya
is dil ko ham ne teri nigahon ke saath saath
begana kar liya kabhi apna bana liya
Leave a Reply