ashiq to bad-nasib hai is men kalam kya
rakkha hai tu ne ye to bata apna naam kya
ma.ashuq ki nigah men ulfat ka kaam kya
badnam kar rahe ho mohabbat ka naam kya
sau baar aap kah chuke ham se na boliye
ye ho gaya hai aap ka takiya-kalam kya
roz-e-azal ke mast ko piine se kaam hai
us ki nazar men hurmat-e-mah-e-siyam kya
huren bala.en leti hain ma.ashuq ki mire
paida na tha bahisht men husn-e-tamam kya
vo ḳhud pila.en main na piyun meri kya majal
is men saval-e-sub.h hai kya zikr-e-sham kya
nazron men saare tai hon mohabbat ke karobar
ham tum hain samne to payami ka kaam kya
guzri hai apni umr yunhi intizar men
aa.ega ‘shad’ un ka koi ab payam kya
Leave a Reply