ham ki maghlub-e-guman the pahle
phir vahin hain ki jahan the pahle
khvahishen jhurriyan ban kar ubhrin
zakhm siine men nihan the pahle
ab to har baat pe ro dete hain
vaqif-e-sud-o-ziyan the pahle
dil se jaise koi kanta nikla
ashk ankhon se ravan the pahle
ab faqat anjuman-arai hai
e’tibar-e-dil-o-jan the pahle
dosh pe sar hai ki hai barf jami
ham ki shoalon ki zaban the pahle
ab to har taaza sitam hai taslim
hadse dil pe giran the pahle
meri ham-zad hai tanhai miri
aise rishte bhi kahan the pahle