dilbar ko dilbari suun mana yaar kar rakhun
pitam ko apne piit suun gulhar kar rakhun
ek naum suun jaga.un agar murda dil ke ta.iin
ta-hashr yad-e-haq mane bedar kar rakhun
rahta hai dil har ek ka har ek kaam men ek
apna ḳhayal surat-e-parkar kar rakhun
dista hai mujh ko yaar ka ruḳhsar-e-gul-izar
tis ki ḳhushi suun tab.a ko gulzar kar rakhun
manke ko man ke la.un phirane ka jab ḳhayal
tasbih badan ki toḌ ke ek taar kar rakhun
pitam ke baaj nahin hai mira iḳhtiyar kuchh
mujh dil ko tis ke amr men muḳhtar kar rakhun
be-sar agar achhe to use sar karun ata
donon jahan men sahab-e-asrar kar rakhun
andhe ke ta.iin ‘alim’ laga ishq ka anjan
sab vasilan men vasil-e-didar kar rakhun
Leave a Reply