yaan hosh se be-zar hua bhi nahin jaata
us bazm men hushyar hua bhi nahin jaata
kahte ho ki ham vada-e-pursish nahin karte
ye sun ke to bimar hua bhi nahin jaata
dushvari-e-inkar se talib nahin Darte
yuun sahl to iqrar hua bhi nahin jaata
aate hain ayadat ko to karte hain nasihat
ahbab se gham-ḳhvar hua bhi nahin jaata
jaate hue khate ho miri jaan ki qasmen
ab jaan se be-zar hua bhi nahin jaata
gham kya hai agar manzil-e-janan hai bahut duur
kya ḳhak-e-rah-e-yar hua bhi nahin jaata
dekha na gaya us se taḌapte hue dil ko
zalim se jafakar hua bhi nahin jaata
ye turfa sitam hai ki sitam bhi hai karam bhi
ab ḳhugar-e-azar hua bhi nahin jaata
Leave a Reply