kya karun zarf-e-shanasai ko
main taras jaata huun tanhai ko
ḳhamushi zor-e-bayan hoti hai
rasta dijiye goyai ko
tere jalvon ki faravani hai
aur kya chahiye binai ko
un ki har baat bahut miThi hai
munh lagate nahin sachchai ko
ai samundar main qatil-e-gham huun
janta huun tiri gahrai ko
baiTha rahta huun akela yunhi
yaad kar ke tiri yaktai ko
khinch le jaate hain kuchh divane
apni janib tire saudai ko
uf tamasha-gah-e-duniya ‘azim’
kitni fursat hai tamashai ko
Leave a Reply