
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
azad us se hain ki bayaban hi kyuun na ho
phaḌenge jeb gosha-e-zindan hi kyuun na ho
ho shughl koi ji ke bahalne ke vaste
rahat-faza hai naala o fughan hi kyuun na ho
sauda-e-zulf-e-yar se baaz a.enge na ham
majmu-e-havas pareshan hi kyuun na ho
ehsan-e-tir-e-yar ada ho sakega kya
jaan apni nazr-e-lazzat-e-paikan hi kyuun na ho
jiite rahenge vada-e-sabr-azma pe ham
umr apni misl-e-vaqt-e-gurezan hi kyuun na ho
‘vahshat’ ruken na haath sar-e-hashr dekhna
us fitna-ḳhu ka gosha-e-daman hi kyuun na ho

Leave a Reply