aaj badli hai hava saaqi pila jam-e-sharab
bars kaali va.ada jaate hain baras kaale sahab
aarsi suun ab sharab-e-nab khincha chahiye
niind suun uTh yaar ne dekha hai chashm-e-nim-ḳhvab
saaf dil ho gar hai tujh kuun ḳhvahish-e-tark-e-hava
ab-e-a.ina upar aata nahin hargiz habab
surat-e-mahtab ro zahir hai mere ashk suun
jalva-gar jiyun ab-e-dariya men hai aks-e-mahtab
har kitab-e-sohbat-e-rangin ke ma.ani dekh kar
fard-e-tanha.i ke mazmun kuun kiya huun intiḳhab
sahab-e-ma.ani kiya hai haq mujhe roz-e-bina
postin jaama hai mere bar mane misl-e-kitab
ḳhema-e-gul baagh men barpa hai ai ‘da.ud’ aaj
tan rahi hai dekh kya avaz-e-bulbul ki tanab
Leave a Reply