kab talak kirchiyan chunungi main
sang-dil tujh se lad padungi main
meri ankhen nahin rahin lekin
aaina dekhti rahungi main
maan ke naqsh-e-qadam pe chalna hai
sirf gudiya nahin rahungi main
khinch kar ik lakir udasi ki
rang manzar men kuchh bharungi
lafz ab raegan na honge mire
in se phir zakhm-e-dil siyungi main
Leave a Reply