chaḌha kar tiir nazron ki kaman par
hasinon ke qadam hain asman par
har ik lamha lage vo aa rahe hai
yaqin baḌhta hi jaata hai guman par
koi va.ada vafa ho jaa.e shayad
bharosa aaj bhi hai jan-e-jan par
utarti hi nahin boson ki lazzat
abhi tak svaad rakkha hai zaban par
kisi ki ruuh pyasi rah na jaa.e
lihaza gham baraste hai jahan par
agar bhaTka to us ko chhoḌ denge
nazar rakkhe hue hain karvan par
amaan ham bhi kira.e-dar hi hain
bhale hi naam likkha hai makan par
Leave a Reply