
Rasheed Lakhnavi
dil hamara janib-e-zulf-e-siyah-fam aa.ega
ye musafir aaj manzil par sar-e-sham aa.ega
go bura hai dil magar rahne diya hai is liye
ishq ki ḳhugar tabi.at hai kabhi kaam aa.ega
ishq-e-dil kamil nahin dekho abhi kholo na zulf
said jab shahbaz hai kyunkar na tah-e-dam aa.ega
qasid-e-marg aa.e ya aa.e tumhara nama-bar
kah raha hai dil ki koi aaj paigham aa.ega
jaam ghota kar ke kausar se manga.i hai sharab
mujh ko farmate hain vo paband-e-islam aa.ega
nek namon ka ho majma.a bazm ho arasta
aap ḳhush hon ya ḳhafa hon ek badnam aa.ega
tum naha lo jald varna rashk se mar ja.unga
dam men ab saaya sar-e-divar-e-hammam aa.ega
donon ankhen dil-jigar hain ishq hone men sharik
ye to sab achchhe rahenge mujh par ilzam aa.ega
tark kar do sha.iri ko aql rakhte ho ‘rashid’
ho chuke ho piir ab kya tum ko ye kaam aa.ega

Leave a Reply