dariya o koh o dasht o hava arz aur sama
dekha to har makan men vahi hai raha sama
hai kaun si vo chashm nahin jis men us ka nuur
hai kaun sa vo dil ki nahin jis men us ki ja
qumri usi ki yaad men ku-ku kare hai yaar
bulbul usi ke shauq men karti hai chahchaha
muflis kahin gharib tavangar kahin ghani
aajiz kahin nibal kahin sultan kahin gada
bahrup sa bana ke har ik ja vo aan aan
kis kis tarah ke ruup badalta hai vah-va
mulk-e-raza men kar ke tavakkul ki jins ko
baithen hain sab isi ki dukanen laga laga
sab ka isi dukan se jaari hai karobar
leta hai koi husn koi dil hai bechta
dekha jo khuub ghaur se ham ne to yaan ‘nazir’
bazar-e-mustafa hai kharidar hai khuda
Leave a Reply