mira dil na tha alam-ashna ki tiri ada pe nazar paḌi
vo na jaane kaun sa vaqt tha ki bina-e-ḳhun-e-jigar paḌi
jise chahe malik-e-rang-o-bu usi be-ruḳhi men navaz de
main idhar tha muntazir-e-karam vo nigah-e-naz udhar paḌi
tira kaam sair-e-mudam hai na ki gulsitanon men Thaharna
ye kali kali ke fareb men tu kahan se bad-e-sahar paḌi
koi mauj-e-bahr se duur hai to jabin-e-bahr pe kya shikan
tiri rahmaton ko hua ye kya miri laghzishon pe nazar paḌi
tujhe kya ho qadr malal ki tu hai na-rasida-e-zindagi
jo bahut phire hain gali gali tu jabin pe gard-e-safar paḌi
sar-e-rah un ko ba-yak-nazar kabhi dekhiye to vahi ada
vahi be-niyazi-e-mahvashan vahi zulf ta-ba-kamar paḌi
ba-nigah-e-saqi-e-mahr-o-mah kabhi ḳhali jaam nahin raha
main zamin pe DhunD raha tha kuchh ki vo kahkashan se utar paḌi
jo hudud-e-sub.h men ruk gaya use ittifaq-e-safar kaho
main vahi musafir-e-sham huun mire raste men sahar paḌi
Leave a Reply