dil se nikal yaas ki zinda huun main abhi
hota hai kyuun udaas ki zinda huun main abhi
mayusiyon ki qaid se ḳhud ko nikal kar
aa jaao mere paas ki zinda huun main abhi
aa kar kabhi tu diid se sairab kar mujhe
marti nahin hai pyaas ki zinda huun main abhi
mehr-o-vafa ḳhulus-o-mohabbat gudaz dil
sab kuchh hai mere paas ki zinda huun main abhi
lauTenge tere aate hi phir din bahar ke
rahti hai dil men aas ki zinda huun main
‘nayab’ shaḳh-e-chashm men khilte hain ab bhi ḳhvab
sach hai tira qayas ki zinda huun main abhi
Leave a Reply