chaman ko aag lagane ki baat karta huun
samajh sako to Thikane ki baat karta huun
sahar ko sham jalane ki baat karta huun
ye ghafilon ko jagane ki baat karta huun
ravish ravish pe bichha do babul ke kanTe
chaman se lutf uThane ki baat karta huun
vo baghban jo paudon se bair rakhta hai
ye aap hi ke zamane ki baat karta huun
sharab-e-surḳh ki maujon se mudda.a hoga
agar main ḳhuun bahane ki baat karta huun
vo sirf apne liye jaam kar rahe hain talab
main har kisi ko pilane ki baat karta huun
yahan charagh tale luuT hai andhera hai
kahan charagh jalane ki baat karta huun
is anjuman se uTha huun khari khari kah kar
phir anjuman men na aane ki baat karta huun
dabi zaban se guzarish hai nagavar agar
to kya saval uThane ki baat karta huun
naqab-e-ru-e-zamana na uTh sakegi ki main
gulon se os uThane ki baat karta huun
ghise ho.uun ko na.i fikr de raha huun ‘shad’
manjhe ho.uun ko sikhane ki baat karta huun
Leave a Reply