tire nisar na dekhi koi ḳhushi main ne
ki ab to maut ko samjha hai zindagi main ne
ye dil men soch ke tauba bhi toḌ di main ne
na jaane kya kahe saaqi agar na pi main ne
koi bala mire sar par zarur aa.egi
ki teri zulf-e-pareshan sanvar di main ne
sahar hui shab-e-va.ada ka iztirab gaya
sitare chhup ga.e gul kar di raushni main ne
siva.e dil mujhe dair-o-haram se kya matlab
jagah huzur ke milne ki DhunD li main ne
jahan chala diya saghar ka daur ai vaa.iz
vahin pe gardish-e-ayyam rok di main ne
bala.en lene pe aap itne ho ga.e barham
huzur kaun si jagir chhin li main ne
dua.en do mujhe dar dar junun men phir phir kar
tumhari shohraten kar diin gali main ne
javab us ka to shayad falak bhi de na sake
vo bandagi jo tiri rahguzar men ki main ne
vo jaane kaise pata de ga.e the gulshan ka
na chhoḌa phuul na chhoḌi kali kali main ne
‘qamar’ vo niind men the un ko kya ḳhabar hogi
ki un pe shab ko luTa.i hai chandni main ne
Leave a Reply