ek majzub udasi mere andar gum hai
is samundar men koi aur samundar gum hai
bebasi kaisa parinda hai tumhen kya malum
use malum hai jo mere barabar gum hai
charḳh-e-sau rang ko fursat ho to DhunDe us ko
nil-gun soch men jo mast qalandar gum hai
dhuup chhanv ka koi khel hai bina.i bhi
aankh ko DhunD ke laaya huun to manzar gum hai
sang-rezon men mahakta hai koi surḳh gulab
vo jo mathe pe laga tha vahi patthar gum hai
ek madfun dafina inhin atraf men tha
ḳhaak uḌti hai yahan aur vo gauhar gum hai
Leave a Reply