us ko pa ja.un kabhi aisa muqaddar hai kahan
aur uTha luun us se dil ye zor dil par hai kahan
ghuT ke rah jaa.e na sar hi men kahin zauq-e-sujud
main to sar har dar pe rakh duun par koi dar hai kahan
naghma-rezi saaz ki bazigari mutrib ki hai
naghma koi be-nava taron ke andar hai kahan
us ke honTon se jhalakti hai miri lab-tishnagi
khinch rahi hai mai kahan par aur saghar hai kahan
main vahan rahta huun gunja.ish jahan meri nahin
kya kahun kis ghar men rahta huun mira ghar hai kahan
ḳhud ko dekha hai jab un ankhon men jhanka hai ‘muhib’
mujh ko itna qurb ḳhud se bhi mayassar hai kahan
Leave a Reply