Darta huun main aksar kahin aisa na samajh le
vo meri tavajjoh ko tamanna na samajh le
ye soch ke danista raha us se bahut duur
maghrur hai dariya mujhe pyasa na samajh le
honTon pe hansi hathon men nashtar hain ḳhabar-dar
koi kisi qatil ko masiha na samajh le
ab main bhi chaTanon ki tarah siina sipar huun
tufan-e-havadis mujhe tinka na samajh le
palkon pe ‘sharar’ ashk sajaya na karo tum
jugnu na samajh le koi taara na samajh le
Leave a Reply