hai iid laao mai-e-lala-fam uth uth kar
gale lagate hain shishon ko jaam uth uth kar
hava chali miri uftadgi ki ai saaqi
girenge nashshe men sab khush-khiram uth uth kar
zamin-o-arsh-o-falak paemal hote hain
na jaao sahn se bala-e-bam uth uth kar
koi bashar na ho maghrur jism-e-khaki par
ki baithte hain bahut qasr-e-kham uth uth kar
dam-e-sahar nazar aaya hai kis ka munh yarab
sanam jo karte hain mujh ko salam uth uth kar
zara uthaiye tabut apne ashiq ka
khuda ki raah ka karte hain kaam uth uth kar
qayamat aai hai halchal hai asmanon par
na phiriye bahr-e-khuda baam baam uth uth kar
pade hain paanv ki surat zaban men ghatte
ye qasidon ko diye hain payam uth uth kar
banegi shoala-e-javvala gardish-e-qismat
tumhare gird phirega ghulam uth uth kar
badhegi baat na baithenge chupke ham ai but
raqib se jo karoge kalam uth uth kar
rahegi ashiqon ke dast-o-pa men jab tak his
tumhari lenge balaen mudam uth uth kar
khuda bithae agar karbala men mujh ko ‘munir’
phirun main gird-e-mazar-e-imam uth uth kar
Leave a Reply