fajar uth yaar ka didar karnan
shab-e-hijran ka dukh izhar karnan
agar sabit hai ai dil kufr men tuun
qayamat men yahi iqrar karnan
kaha yuun khol kar zulfon kuun sayyad
kisi vahshi kuun apna yaar karnan
tasavvur men tire ai mazhar-e-rab
tamasha-e-dar-o-divar karnan
tujhe saugand apne chahte ki
ki apne chahte par pyaar karnan
na kahnan khuub hai tujh zulf ki baat
abas har taar ka bistar karnan
‘siraj’ ab ishq ki parvangi hai
ki sair-e-kucha-o-bazar karnan
Leave a Reply