zer-e-zamin huun tishna-e-didar-e-yar ka
aalam vahi hai aaj talak intizar ka
guzra sharab piine se le kaun dard-e-sar
saaqi dimagh kis ko hai ranj-e-khumar ka
mahshar ke roz bhi na khulegi hamari aankh
sadma utha chuke hain shab-e-intizar ka
ibrat ki ja hai alam-e-duniya na kar ghurur
sar kasa-e-gada hai kisi tajdar ka
bad-e-fana bhi hai maraz-e-ishq ka asar
dekho ki rang zard hai mere ghubar ka
ulfat na kuchh pari se na kuchh huur se hai ishq
mushtaq ‘barq’ roz-e-azal se hai yaar ka
Leave a Reply