aahon se honge gumbad-e-haft-asman kharab
kis kis makan ko na karega dhuan kharab
mar kar bhi apne saath rahen harza-gardiyan
hai musht-e-khak surat-e-reg-e-ravan kharab
qamat vo hai ki jis se qayamat hai ashkar
naqsha vo hai ki jis se hai naqsh-e-jahan kharab
tab-o-tavan ko jism men yuun dhundhti hai ruuh
jaise ghubar-e-rah pas-e-karvan kharab
na-saz ho mizaj to baton men kya maza
bimar ki tarah hai zaban o dahan kharab
zevar zaval-e-husn men pahna to kya bahar
patte sunahre surat-e-barg-e-khizan kharab
qitmir se karunga sag-e-yar ka gila
marqad ke ghaar men jo huiin haddiyan kharab
ai ‘bahr’ tujh ko dhund phire shash-jihat men ham
tera pata kahin bhi hai o khanuman-kharab
Leave a Reply