kuchh kaam nahin hai yahan vahshat ke barabar
so tum hamen gham do koi himmat ke barabar
kab lagta hai ji rah-e-sahulat men hamesha
aur milta hai kab ranj zarurat ke barabar
asaish-o-aram ho ya jah-o-hasham ho
kya chiiz yahan par hai mohabbat ke barabar
gunjaish-e-afsos nikal aati hai har roz
masruf nahin rahta huun fursat ke barabar
bhar laae hain ham aankh men rakhne ko muqabil
ik khvab-e-tamanna tiri ghaflat ke barabar
rakh denge tire paanv men ham mauj men aa kar
duniya hai kahan jaan ki qimat ke barabar
phir kashmakash-e-sud-o-ziyan kar-e-ziyan hai
jab jiit bhi thahri hai hazimat ke barabar
jiine men jo ehsas-e-tafakhur hai kahan hai
jiite chale jaane ki nadamat ke barabar
Leave a Reply