mire na-rasa tasavvur ne suragh pa liya hai
main pata laga chuka huun tu kahan kahan chhupa hai
mujhe kaun sar-bulandi ki taraf bula raha hai
mira nargisi taḳhayyul to shikast kha chuka hai
tujhe qatilon ke narghe se chhuḌa.ega na koi
ye hai maqtal ai musafir tu kise pukarta hai
sar-e-sham jo gharibon ke diye bujha rahi hain
unhin sazishon ka markaz ye tiri mahal-sara hai
koi mausami parindon se kahe idhar na aa.en
abhi mere gulistan ki baḌi muzmahil faza hai
sun ai meri pyari duniya miri be-qarar duniya
tira dard-mand sha.ir tire giit ga raha hai
vo ba-zo.am-e-ḳhud gulistan ka hai sarbarah ‘dauran’
jo vo chahe so karega use kaun rokta hai
Leave a Reply