husn-e-sad-rang se firdaus ba-daman nikla
ham ne jis phuul ko dekha vo gulistan nikla
ho ga.e dad-talab aur balaon men asiir
hashr ik silsila-e-zulf-e-pareshan nikla
aur kya shai hai ye me.araj-e-mohabbat ke siva
aarzu aap ki ho kar mira arman nikla
ḳhaak men gardish-e-dauran ne milaya mujh ko
aur is par bhi main sar-halqa-e-dauran nikla
uf re ye jazba-e-ḳhuddar ‘munavar’ ki numud
ik ajab shaan ka sha.ir ye suḳhan-dan nikla
Leave a Reply