• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Ki Kuduraten Agar Insan Se dur Hon

dil Ki Kuduraten Agar Insan Se dur Hon

haidar-ali-aatish

dil ki kuduraten agar insan se duur hon

saare nifaq gabr o musalman se duur hon

nazdik aa chuki hai savari bahar ki

barg-e-khizan-rasida gulistan se duur hon

dil is qadar gudaz hai barson hi gham rahe

aansu jo apne dida-e-giryan se duur hon

mitta nahin navishta-e-qismat kisi tarah

jauhar kabhi na khanjar-e-burran se duur hon

fasl-e-bahar aai hai kapdon ko phadiye

dil ke bukhar dast-o-gareban se duur hon

chhidkav ka irada hai chashm-e-pur-ab ka

gard-o-ghubar kucha-e-janan se duur hon

ye tang kar raha hai to uljha rahe hain vo

daman ke paat pahle gareban se duur hon

vahsh o tuyur ko miri aahen karen halak

ab-o-giyah koh-o-bayaban se duur hon

mumkin nahin najat asiran-e-ishq ko

ye qaidi vo nahin ki jo zindan se duur hon

muddat ke baad aae hain sahra men ai junun

do aable to khar-e-mughilan se duur hon

gardish se chashm-e-yar ke ‘atish’ ajab nahin

jo jo amal ki gardish-e-dauran se duur hon

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hudud-E-Jaan Mein Had-E-Na-Rasa Se Aaya Hun

momin-khan-momin

Wo Kahan Sath Sulate Hain Mujhe

Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-O-Bayaban chhoD Kar

Sach Ko Kahne Ka Hausla Hai Mujhe

poet

Teri Gali Mujh dil Ko Pyari Lage

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet